Saturday, July 13, 2013

Muslim Saleem – ek naatiya sher

FARSH TAA ARSH YEH INA’AM BHALA KYA KAM HAI

MAIN GHULAAM-E-SHAH-E-BATHAA HOON MUJHAY KYA GHAM HAI

 فرش تا عرش یہ انعام بھلا کیا کم ہے
میں غلامِ شہہِ بطحیٰ ہوں مجھے کیا غم ہے

 (GRAPHICS BY A WELL WISHER)
Naatiya Zaree

Wednesday, July 10, 2013

MUSLIM SALEEM - QATA - JULY 9, 2013

PHISLAA JO MERAY  HAATH SE WO DAST-E-HINAAI.
EK WADA-E-FARDA BHI KIYA WAQT-E-JUDAAI
US NE YEH KAHA TUM KO BAHUT YAAD KARENGE
PHIR YOON BHI HUA US KO MERI YAAD NA AYEE

Muslim Saleem - qata - tum ek khushi ho...


TUM EK KIRAN HO JO SHAME'N JALAYE REHTI HAI
TUM EK KHUSHI HO JO DIL ME'N SAMAYE REHTI HAI
PATAA HAI KHOOB YE MUSLIM KE DUSHMAN-E-JAAN HO
YE JAAN TUMHEEN SE MAGAR LAU LAGAYE REHTI HAI

(Graphics by a well wisher with thanks)

Muslim Saleem - ek sher - July 8, 2013

HAATH SE MERAY TUMHARA HAATH AB CHHOOTE NAHEEN
JO TA'ALLUQ BAN GAYA HAI WOH KABHI TOOTE NAHEEN

Ek sher (with graphics drawn by a well wisher. Pl hail graphics)

Woh naa badnaam ho kaheen Muslim, bus yahi fikr mujh pe bhaari hai

Us ki khaatir gurez hai us say, dil pe yeh jabr ikhtiyaari hai


Saturday, July 6, 2013

Muslim Saleem - ghazal - July 6, 2013

Woh naa badnaam ho kaheen Muslim, bus yahi fikr mujh pebhaari hai
Us ki khaatir gurez hai us say, dil pe yeh jabr ikhtiyaarihai

Karte hain hum pe woh karam pe karam, silsila faiz ka yehjaari hai
shukriye ko bhi man’a karte hain, yeh ada aur unki pyaarihai

yeh hai panchhi khuli hawaaon ka, is pe kis ki ijaara-daarihai
aap ka jism ghair ka ho magar, aap ki yaad to hamaari hai

aaj se jog le liya hum ne, tum ho devi yeh dil pujaari hai
jo mataa-e-sukhan hamaari hai, aaj se sub woh bus tumhaarihai

nasshe kafoor saare ho jayen, saare maikhane band ho jayen
sar se lekin naheen utarti yeh, ishq ki bhi ajab khumaarihai

Friday, July 5, 2013

MUSLIM SALEEM – GHAZAL – JULY 4, 2013

JAAN-O-DIL APNE HAIN SADQE US MUNAWWAR KHWAB KE
JAAGTI AANKHON MEN REHNE DO WO MANZAR KHWAB KE
******************************************************** *
KHWAB KI JAANIB CHALE PAIGHAM LEKER KHWAB KE
YOON UDAY DIL KI MUNDERON SE KABOOTAR KHWAB KE
*********************************** *********************
RAAT BHAR CHUNTE HAIN AKSAR LAAL-O-GAUHAR KHWAB KE
SUBHADAM ROTE HAIN HUM TUKDE UTHHA KAR KHWAB KE
*********************************** *********************
KAUN DETA WARNA AANHON KE CHHALAWON PAR DHAYAN
AAP KE AANE SE JAAGE HAIN MUQADDAR KHWAB KE
*********************************** *********************
ZINDAGI MEN ITNI TALKHI SEH NA PAATE HAM KABHI
YEH TO ACHHA HAI KE SAB THAY TEER-O-NASHTAR KHWAB KE
*********************************** *********************
AANKH KHULTE HI HAQEEQAT KI HUAY KAFOOR SAB
TASHNAGI KAISE BUJHA PAATE SAMANDAR KHWAB KE
*********************************** *********************
ZINDAGI MUSLIM KI PHIR SHARMINDA-E-FIRDAUS HO
KASH HO JAYE HAQEEQAT BHI BARAABAR KHWAB KE
Muslim Saleem – ghazal – July 4, 2013
 
Facebook comments

One thought on “MUSLIM SALEEM – GHAZAL – JULY 4, 2013

FACEBOOK COMMENTS
Feroze Muzaffar
wah janab boht khoob
Haris Bilal waah
sir, kiya bat hy, boht khoobsurat…….. tamaam ashaar
Haris Bilal boht khoob hain. daad qabool kijeye
Gayas Pasha Jagirdar
JAAN-0-DIL APNE HAIN SADQE US MUNAWWAR KHWAB KE
JAAGTI AANKHON MEN REHNE DO WO MANZAR KHWAB KE
wah bahot khub
Farhan Mirza
qabil a tareef.janab.bahot khub
Abu Obaida Azmi Waah waah bahot umda bahot khoob janab
Tanveer Ahmad bohat he umda hai
Ahmad Ali Barqi Azmi
Hai nehayat dilnasheeN Muslim ka yeh rang e sukhan
Is ghazal meiN haiN numaayaanN kitne manzar khwab ke
Majeed Taj Baloch
Bahut umda Ghazal hay ustaad e mohtarm .
Majeed Taj Baloch
JAAN-0-DIL APNE HAIN SADQAY IS MUNAWAR KHWAB KE
JAAGTI AANKHON MEN REHNAY DO WO MANZAR …Bahut khoob
Shah Jahan · Friends with Haris Bilal and 27 others
Wahh wahh bohat khu bohad acha
Syed Husnain
wah muslim bhai bahut piyari aur ghazal kahi hai ek ek shar pur asar hai
Iftikhar Falak Khobsooooorat! Piyara kalam….
Fiza Sajid
fetwa do meray qatal kay foran janab shakh,,,,me ho kssey ke piyar me kafer bana hwa
Kawish Khan · Friends with Zaree Ahmad
ummda
Sher Bahadur Akhtar
JAAN-0-DIL APNE HAIN SADQE US MUNAWWAR KHWAB KE
JAAGTI AANKHON MEN REHNE DO WO MANZAR KHWAB KE
******************************************
KAUN DETA WARNA AANHON KE CHHALAWON PAR DHYAN
AAP KE AANE SE JAAGE HAINMUQADDAR KHWAB KE
*********************************** ******
ZINDAGI MEN ITNI TALKHI SEH NA PAATE HAM KABHI
YEH TO ACHHA HAI KE SAB THAY TEER-O-NASHTAR KHWAB KE
*********************************** **********
AANKH KHULTE HI HAQEEQAT KE HUAY KAFOOR SAB
TASHNAGI KAISE BUJHA PAATE SAMANDAR KHWAB KE
***************************************
ZINDAGI MUSLIM KI PHIR SHARMINDA-E-FIRDAUS HO
KASH HO JAYE HAQEEAT BHI BARAABAR KHWAB KE
…………itne aala , nayab aur meaari ashaar hue hain ki jitni bhi taarif karoon kam hogi,,,bepanaah khoobsoorat aur maanikhez,,mohtram muslim saleem sahab,,,ham khushnaseeb hain ki aap jaise mufakkir aur mudabbir ke kalam se mustafeez ho kar zehni sukoon hasil kar rahe hain..allah aap ko salamat rakhe,,aameen…………..
Faisal Nawaz
behtreen ashar,,,,,,waaaaaaaaaah ,,,,,,,,AANKH KHULTE HI HAQEEQAT KE HUAY KAFOOR SAB
TASHNAGI KAISE BUJHA PAATE SAMANDAR KHWAB KE……………Wah wah wah …………..khyallaat ka talsim tutetey hii who sab khwaab chukna choor aur Laa wajood ho ghee gin main main aksar mubtla rehta thaaa……………bout khoob…………………….aur muqata kya kehna ..main you samgha isko …………….ZINDAGI MUSLIM KI PHIR SHARMINDA-E-FIRDAUS HO
KASH HO JAYE HAQEEAT BHI BARAABAR KHWAB KE……………Ae kash “muslim” phir us janat ka makeen ho jaye jis ke who Khaab dekhaa karta thaa iss nisbat se ke mera tarz ayaat adm ki warasat ka haq daar heh… “lafz” KASH yeh haqdah wa karta hai ke —–kashmakash haaye ayaat ke bais aisa mumkin
Nazar nahein aataa………….Bout khoob sir Muslim Saleem saib …….salamat rehen Ameen..
Haris Bilal
waah nihaayat khoobsurat…. pehley ki tarah…. waaah waah
Majeed Taj Baloch
Bahut umda matlay hain . Bahut khoob
Farhan Mirza
waah kya kahene Janab.waqayi dilchasp aur lajawab hai
Sher Bahadur Akhtar KHWAB KI JAANIB CHALE PAIGHAM LEKAR KHWAB KE
YOON UDAY DIL KI MUNDERON SE KABOOTARKHWAB KE
RAAT BHAR CHUNTE HAIN AKSAR LAAL-O-GAUHAR KHWAB KE
SUBHADAM ROTE HAIN HAM TUKDRE UTHHAR KHWAB KE
…mohtram muslim salim sahab, ghazab ka takhaiul ,aur tafakuraat ka khazana paaya hai , waaaaaaah waaah,, teenon matle bepanaah aur baqi sab ashaar daad ke mustahiqe hain,,,,….
Fiza Sajid
jo haqeqath say bhut door he khwahesh merey……..pher bhe khwhesh he kh ek khwab haqeqath ho jay
Salahuddin Haque
wah umda bahut umda
Khurshidul Hasan Naiyer
bahut Khoob janaab waah.
Kawish Khan · Friends with Zaree Ahmad
wah kya baat
Muslim Saleem Shukriya Ibrahim Ansari sb
Faisal Nawaz
RAAT BHAR CHUNTE HAIN AKSAR LAAL-O-GAUHAR KHWAB KE
SUBHADAM ROTE HAIN HAM TUKDRE UTHHAR KHWAB KE ……………..Wah wah wah ………..jab waqt apne sath nahein hota tu kahein aik khwaab ghardaan khyaal rehete hain………..lakin jab haqeeqat se samnaa hota hai tu swaye ghuzrey waqt pe qaf e afsoos milney ke
Kuch haath nahei aataa…………………
Zaburdust ustad e mohtram Muslim Saleem saib lajwaab
6 hours ago · Unlike · 1
Sadik Khan · Friends with Muzaffar Iqbal Siddiqui
like this
Zareena Khan AGAR KOI KAHEY KI CHAND KI TAREEF KRO …………TO KYA KI JASAKTI HAI ………….NHI NA ……………THEEK WAISE HI AAP KA SHER HAI …SUBAH DAM HUM UTHEY…. YE SHER MERE LIYE CHAND KI MISL HAI
Abu Obaida Azmi
Waah bahot khoob
Kamil Janetvi Waah .
Teeno matle zabar dast .
Chandni Pandey
Raat bhar chunte hain aksar lal o gauhar khwab ke
subhadam rote hai hum tukdre uthhar khwab ke ….bahut khoobsoorat…
Aamir Riyaz Bahut khoob….

Thursday, July 4, 2013

MUSLIM SALEEM – DO TARHI SEH-GHAZLE

(1)
Waqt ne jab kisi zaalim ko hukoomat di hai
Mujhko  haalaat ne lehje mein baghawat di hai
Jazba-o-josh-e-sadaqatne ye hiddat di hai
Aanch alfaz men, izhar mein shiddat di hai
Pesh qadmiki tawaqqo thi bahut, dushman ko
Han ne  paspaai ke harbe se hazeemat di hai
Kucch tokaam aa gaya  aakhir ko mira pagal-pan
Mujh ko  patthar diye lekin tajhe shuhrat di hai
Wo lutaata hai  bahut uns-o-wafa logon par
Rab ne  daulat dil-e-Muslim ko bakasrat di hai
·       ** * * * * * * * * *  * * * * * * * * * ** * * * * *
Bar mahal sheron mein alfaaz ki san’at di hai
Mujh ko parwaz-e-takhayyul ne ye hirfat di hai
Aap Urdu ke mukhalif hain magar sach yeh hai
Aap ke lehje ko Urdu na halaawat di hai
Mulk ko is ne hi tahzeeb sikhai hai nayee
Jis pe naazaan hain Sabhi aisi saqafat di hai
Dushmanon ko bhi bhagaane men madadgaar hui
Jang-e-azadi ke naron ko bhi taqat di hai
Naaz Muslim ko hai Urdu pe ke sab se pehle
Khitta-e-Hind ko is ne hi sahafat di hai.
·       ** * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * ** * * * ** * * * *
Shukr kar rab ka ke deedar ki jannat di hai
“Dekhne ko teri aankhon mein basaarat di hai
Yaar uthh kar na chalaa jaye kaheen pehloo se
Is liye baat ko kucch aur tawaalat di hai
Sharm se hont sile hain ye pata hai hamko
Ham ne kab aap ko izhaar ki zahmat di hai
Jo jazar bhar ke use dekhe gaa jal jaayega
Uske chehre ne to Sooraj ko tamazat di hai
Jab habut bol chukka wo to ye Muslim se kaha
Shukr hai rab ka ke kam-goi ki aadat di hai.
(2)
Sochiye kis ne ye sailaab ki aafat di hai
In hawaadis ko khud insaan ne Dawat di hai
Hashr hoga yahi fitrat se agar kheloge
Uttarakhand meN qudrat ne naseehat di hai
Apne aamaal se too us ko jahannam na banaa
Tujh ko Allah ne kuhsaar ki jannat di hai
Daali-daali ko wahaan us ne samara-baar kiya
Sabza-o-gul ki saughaat nihayat di hai
Kuchh ziyadaa naheen itnaa hi kahe gaa Muslim
Us ko zahmat na banaa-o ke jo rahmat di hai
***************************** ****************
Us haseeN pal meN teri yaad ko Dawat di hai
Jab bhi ham ko kabhi haalaat ne muhlat di hai
Gosha-e-qalb men bas jaane ki Dawat di hai
Aaj un aankhon ne hum ko ye ijaazat di hai
Umr bhar ishq ne masroof rakha hai hum ko
Aazmane ki liye husn ko fursat di hai
Baat jab nikli hai zaalim ki sanaa-khwani ki
Hum ne chup reh ki bhi dunyaa ko naseehat di hai
Dekhta hai wo jidhar too hi nazar aata hai
Chashm-e-Muslim ko yeh ulfat ne karaamat di hai
********************** ****************
Naat-goi ki is aajiz ko sa’adat di hi
Yaani duniya hi meN tahreek-e-shafa’at di hai
Azmat Islam ko aur kufr ko la’nat di hi
Ek bande ne kuchh is tarha shahadat di hai
Sab se achhi hain ibadaat durood aur salaam
In ibadaat ne jannatki zamaanat di hai
Qabile-e-rashk hain woh log jinheN duniya meN
Aalam-e-khwab meN Aaqa ne Bashaarat di hai
Loot le aaj too rahmat ke khazaane Muslim
Aaj Allah ne taufeeq-e-nadaamat di haiDo tarhi seh-ghazle
Do tarhi seh-ghazle 2

Muslim Saleem – Ek qata

Aaj sandooq se daireena zamane nikle
Diary kholi to yaadoN ke khazane nikle
Aise maazi ki phuaroN meN sharabore huey
Jaise bachcha koi baarish meN nahane nikle
Yaad  1Yaad  2